|
Tum tu chalay gaye, apni yadain tu lay jao
bewaafai se bhari, wo batain tu lay jao
chalo maan letay hain, tum kisi ki amanat thi
par mujh per nichawar, apni chahatain tu lay jao
teray janay ke bad bhi, bara pursukon rahta hon
kamaz kam apnay sath, meri rahatain tu lay jao
kitna badnaseeb hon, tujh se nafrat bhi nai kerpata
meray senay mein bhari, ye muhabatain tu lay jao
per tera khayal aaj bhi, rula sa deta hai mujhay
meri sochoon mein bhari, ye shidatain tu lay jao
mein aaj bhi zinda, kis ki khatir, ji raha hoon?
Atif, meri sansoon ki akay, taqatain tu lay jao
Bhoolne waale se koyi keh de zara
is tarah yaad aane se kya faaida,
Jab mere dil ki duniya basaati nahin
phir khayaalon mein aane se kya faaida
Kya kahoon aapse kitni umeeden thi
Aap kya badle duniya badal si gayi,
Aasra de ke dil tod te hain mera
Is tarah sataane se kya faaida,
Chaar tinke jala ke kya mil gaya
Mit sakana zamane se mera nishaan,
Mujhpe bijli girao to jaanu sahi
Aashiaan par girane se kya faaida
Ankhen apki ho, par ansu mere
Zindagi apki ho, par sanse meri
Dil apka ho, par dhadkan meri
Zindagi k akhri mod par dua hogi yehi
Kafan apka ho, aur maut meri
|